Shrimadbhagwad geeta ke chauthe adhyay mein gyan ka arth hai tatvagyan, karm shabd arthat karmyog aur sanyas shabd sankhya yog arthat gyan marg ka soochak hai.
Is chauthe adhyay mein bhagwan Shrikrishan ne apne avtar lene ka rahasya prakat kiya hai aur tatva gyan prapt kar karmyog aur sanyas yog ka paalan karne ka marg dikhaya hai :
Im vivsawte yog proktvanhamvyyam.
vivswanmane prah manurikshwakavedbraveet.
Shri bhagwan ne kaha - maine is avinashi yog ko Surya se kaha. Surya ne apne putra Vaivasvat Manu se kaha aur Manu ne apne putra raja Ishwaku se kaha.
Yahan yeh sapasht hota hai ki bhagwan aadikal se hain, samay ke badalne se bhagwan mein badlaav nahin aata. Arjun ke liye yeh aashcharya ka vishay hai ki bhagwan to unke lagbhag ham umra hain phir inhone surya ko jo itne poorva se hain. Kaise is avinashi ka yog kaha hoga. Ise aage badate huye bhagwan Shri Krishna kehte hain : -
Env paramparapraptmim rajrishiyon kidu:
s kaleneh mahata yogoo nasht: parantap: .2.
He parantap Arjun! is prakar paramparagat roop se ise rajrishiyon ne jana kintu uske baad se yog bahut kaal se is prithvi se lupt ho gaya. Yahan is yog (Atma-parmatma ke milan) ko jaan-ne ki aur ishara karke kaha gaya hai ki paramparagat roop se yeh ek se doosre tak pahunchta raha aur isi kram me rajrishion ne ise jana. Rajrishi arthat jo raja bhi hon aur rishi bhi. Sansarik sukhon ka bhog tatvagyan ke paalan ke bina bandhnon ka kaaran hai. Yeh gyan parampara se chalta aaya parantu lupt hone par pun: ise prakat karne ka madhyam bhagwan ka sagun -saakar roop hi bana hai. Yeh uttam yog kripa ke phalswaroop prapt hota hai aur gupt rakhne yogya hai arthat ise har kisi ko kehne ka adhikar nahin hai.
Sa evayn bhaya tedgya yog: prokt: puratan:
bhaktodasi me sakha cheti rahasyan hayetduttmam
Too mera bhakt aur priya sakha hai isliye vahi puratan yog maine aaj tumko kaha hai kyonki yeh bada uttam rahasya hai arthat gupt rakhne yogya vishya hai.
Yahan Arjun ko bhakt aur sakha kaha hai. Jis prakar yeh yog puratan hai usi prakar bhakti bhi puratan hota hai, yugon-yugon se bhakti karke bhagwan ka saanidhya prapt karta hai. Is bhakti aur sakha bhav ke kaaran hi bhagwan bhakt ko apna param gopniya gyan bhi prakat karte hain. 'S' ev 'env 'puratan:' ka bhav yahi hai ki yeh aadi kaal se hai, sanatan hai.
Upryukt varnan se yeh swabhavik shanka bhi utpann hoti hai ki bhagwan Shri Krishan to dwapar yug men prakat huye aur surya, Manu, Ishwaku to bahut pehle ho chuke to unko bhagwan Shri Krishan ne updesh kaise diya.
Aprn bhakto janam parn janam kivswat:
kadmetdijaniya tvamadau proktvaniti.
Arjun ne kaha - aap ka janam to abhi ka aur surya ka janam bahut purana hai tab main is baat ko kaise samjhun ki aap hi ne kalp ke aadi men Surya se yeh yog kaha tha.
Bhagwan ne is prakar Arjun ke poochhne par apne avtartatva ka rahasya samjhane ke liye apni sarvgyata prakat karte huye kaha -
Bahuni me vyateetani janmani tav charjun
Taanyain ved savani n tavn vetth parntap.
Shri Bhawan ne kaha - He parantap Arjun! mere aur tere bahut se janam ho chuke hain. Un sab ko too nahin jaanta kintu main jaanta hoon.
Is kathan se bhagwan ne apni sarvagyata aur jeev ki alpagyata ka divdarshan karaya hai. Aage bhagwan Shri Krishan samjhaate hain ki jeev ke janam se bhinn main apni prakruti ko adheen karke yogmaya se prakat hota hoon.
ajodani sannvyyaatma bhootanimishvordpi san.
Prakruti swamdhishthay samvamyatmmayya.
Main ajanma aur avinashi hote huye bhi tatha samast praniyon ka ishwar hote huye bhi apni prakruti ko adheen karke apni yogmaya se prakt hota hoon.
Is-se bhagwan ke sadharan jeevon se apne janam ki vilakshanta dikhlayee hai. Bhav yeh hai ki jaise jeev prakruti ke vash men hokar apne apne karm ke anusar achhi ya kharaab yoniyon men janam dhaaran karte hain aur sukh-dukh bhog karte hain us prakar ka mera janam nahin hai. Main apni maya ko adheen karke sanvya hi samay samay par leela karne hetu avtarit hota hoon. Mera yeh janam savtantra aur divya hota hai. Jeevon ki bhaanti bandhankari nahin hota.
No comments:
Post a Comment